Dec 2, 2008

Akhir Kab Tak??! A Poem - Vineet Verma, Mumbai


Have Your Say! To publish your post on this blog mail it to haveursay@rocketmail.com

SHOUT OUT LOUD!


ab basssssss,,,, ab aur nahi ,,, ab aur nahi ,,,aakhir kab tak ,,,aakhir kab tak ,,, yuhi sunte rahenge ,, yuhi dekhte rahenge,,, aakhir kab tak,,, yuhi pal pal maut ki aur badte rahenge,,, kab tak khaamosh bethe,, yehi sochte rahenge ki koi kuchh kare??,,, koi kuchh karta kyu nahi?? ,,,,, kab tak sunte rahenge unko jinhe bas woh kursi hi dikhit hai ,,,, uske paaye tale dabbi laasho se jinhe koi matlab nahi ,,,, aakhir kab tak ,,, chhod de apne desh ko uske hawale jo bas aapas mein ladwana jaanta hai,,, aayo ,,, lad le aur chheen le apne desh ko inlogo ke haatho se ,,aayo,,,, banaye apne ghar ko phir ek baar apne hi dhang se ,,jaha har koi surakshit rahe ,,, mehfoos rahe ,,,,, zinda rahe ,,,, jaha mar jaaye sab jhagde ,, jaha shabd "alag" hi na ho ,, jaha aake har koi us jannat,,, us swarg ko jeena chaahe ,, jaaha aate hi log chhod de sab ghussa ,,, seekhe jeena ka asli dhang ,,, lekin yeh sab tabhi hoga jab hum ek ho ,,, bina kissi sawaal,,, bina kissi kadwaahat ,, jaha hum khud mile bina kissi ke samjhaaye,,,, lekin hum to aapas mein hi lad rahe hai ,,,,,,,,, aaaakhir kab tak ,,, zara socho aakhir kab tak,,,,,,,,,

No comments: